Modern Geeta saar for IT professionals

This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .

Hey .......(Employee) ,
Incentive nahi mila, Bura Huva
Salary cut rahi hai, Bura Huva
Extra shift hogi, who bhi bure hogi.

Hey Arjuna,
Tum pitchla incentive na milne ka paschatap na karo,
Tum agle incentive ki chinta na karo,
Bus apni salary main santusta raho....
Tumhari pocket se kya gaya , Jo rote ho?
Jo aaya tha sab uper ki income thee. ;-)
Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee
Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.

Hey Dhananjaya,
Tum NE aisa kaun as response diya, Jo tumhara tha.
Sab kuch, 'cut-copy-paste' ka khel tha.
Tum koi experience leker nahi aaye the..
Jo experience mila, yahi mila...
Jo support diya company ke liye...
Degree leker aaye the, experience leker chalo.
Jo system aaj tumhara hai....
Who kal kisi aur ka tha.....
Kal kisi aur ka or parson kisi aur ka hoga..
Tum ise apna samajh kar kyo magan ho rahe ho..

Hey Kaunteya,
Yahi tumhari tension kaa kaaran hai.
"Kyo wayarth chinta karte ho, kisse wayarth darte ho,
Kaun tumhe nikaal sakta hai......"
' Policy change' company ka rule hai.
Jise tum policy change kahte ho, wahi to trick hai.
"Ek pal main tum Best performer or Hero no.1 ya Super
Star ban jaate ho,
Dusre pal main tum worst performer aur target nahin
Achieve kar paatey ho."
Appraisal, incentive etc. Etc. Mann se hata do,
Vichaar se mita do. . .
Phir company tumhari hai or tum company ke.

Tasmat Arjuna,
Na yeh increment wageyrah tumhare liye hai, na tum
Iske kabhi the. Parantu job secure hai :-) Phir tum
Tension kyon lete ho.........? Tum apne aap ko company
Ko arpit kar do. Yahi sabse bada golden rule hai. Jo
Is golden rule ko jaanta hai, who review,
Incentive,recession ,retirement aadi se sada ke liye
Muqt ho jaata hai...

Comments

vcr said…
GREAT STUFF!!!
Enjoyed this immensely....surprised at no other comments..?
So glad I stumbled on this - while looking up Urdu words in ghazals...
Keep it coming....

Popular posts from this blog

Lecture by Subrato Bagchi

220 Great Cricket Quotes of all time

The fallen Tomato Cart by Subroto Bagchi